Asalam u alikum
Pubg game is banned from pakistan.
Video game pubg par pabandi adalat ka bara hukum a gaya.
Lahore high court ne video game pubg par pabandi ke lia darkhuwast par PTI ko qanoon ke mutabiq faisla karne ka hukum de dia or darkhuwast nimta di.
Tafseelat ke mutabiq lahore high court ke justice amir mehmood ki sarbrahi main do rukni banch ne pubg par darkhuwast ki simaat ki.
Darkhuwast shehri faizan maqsood ne dire ki.
Jis main ikhtiyar kiya gaya hai ke video game pubg bachon ki shakhsiyat par manfi asar dal rahi hai is game ki waja se bachon main quwat faisla ki kami or sgidat pasandi barh rahi hai.
Darkhuwast main istada ki gai thi ke game ko play store se hataya jaye jis par lahore high court ne dalail sun ne ke bad PTI ko 6 hafton main faisla karne ka hukum dete hua darjhuwast nimta di.
0 Comments