Asalam u alikum 


Pakistani sadar Imran khan ka corona test k lia sample le lia gaya:



Islamabad: islamabad main pakistani sadar  imran khan ka corona test k lia shoukat khanam hospital k mahireen ne sample le lia.

Tafseelat k mtabiq imran khan se kuch din pehle mulaqat krne wale faisal aydhi ka corona test positive ane pr imran khan ka ahtiyati tor pr corona test lene ka faisla kiya gaya.

 Pakistani sadar imran khan ke focal person baraye corona virus Dr faisal ka kehna tha   ke kuch roz qabal faisal aydhi ne pakistani sadar imran khan se mulaqat ki thi 1 zimma daar citizen hone k sath imran khan ne apne corona test pr raza mandi zahir ki.

Shoukat khanam hospital ki team  pakistani sadar imran khan ke test ke lia sample hasil kr lia hain. Laboritry main tajze k bad report tayar ki jaye gi.

Sindh hukumat ne faisal aydhi ki family ke corona test krne ke ahkamat jari kr dia  mehekma sehat sindh ne civil hospital ko hidayat jari ki.
                   
Mehekma sehat  ka kehna hai ke faisal aydhi  se pehle in ke bete ka bhi corona test positive ayaa tha. Jis k bad faisal aydhi ko kuch din ghar mai rehne ki hidayat ki gai thi.
Faisal aydhi 4 din se islamabad mai the shak hai virus whin se ayaa hai.

Thank you.

Regards to all.